Friday, June 10, 2011

Ishq-in Hindi (Poetry)

Let me give some inpetus to this universal language called ISHQ

Ishq ki paribhasha hai aadbuth;
Dil ki dadkhan aur aawaz hai ye...
Ishq mein chala musafir;
aapno mein bannt gaya hai ye...

Ishq se naata hai purana , sadiyo se;
Dheemak ki tarah rahthi mann ke ghoslo mein;
kabhi pyaar ,kabhi takraar hoti ismme;
kushti karti dil ke jaal mein;

Ishq hi duniya ki reet;
pyar hoti hai nibaane meeth,
Aaj hum tum musafir ki tarah naa mile;
Ishq hai sulagthi aag manpreet;

Ishq ke darwaaze par hoti aagamann;
kushiyo aur phawaaro kaa;
de dalo zindagi ki saari tamanaaye;
Ye Ishq hai dildaaro kaa;

Ishq hi banaati aur thodthi duniya;
Isse perheez aisa kyun?
Ishq mein jaane kitne sulagte meethaas;
Ras peene se parheez kyun?

Ishq hi ibaadat ;Ishq hi khuda;
Ishq mein sau saal kurbaan;
Iss meeti churi se vanchit raho tho;
karo vanwaas aparampaar !!

ISHQ ZINDABAD !!

No comments:

Post a Comment