This is a small amalgamation of my thoughts in the form of hindi poetry.Hope you like it
Aaj ki awaaz ko parkho duniyawalo;
iss awaaz mein itna sanaata kyun ?
pal pal beeththi zindagi ki rah mein;
sanaata bhi aapna damm todh gaya kyun ?
Kidhki se jhanko tho ye mandrati awaaz;
sadko pe ye tartharati gadiyon ki awaaz;
mann mein palti aashankao ki awaaz;
jeevan ki kashti ki ye sadthi awaaz;
iss awaaz ko kuch bal tho dho;
awaaz ko abh chalne tho dho;
aandhi aur toofan se khuchali awaaz;
aapni aagosh mein bharne tho dho;
kab tak rok saka hai manush dilfenk awaaz;
aachaiyo se paree machlthi kyu?
chal musafir lekar ye awaaz;
laut kar phir aati hai maun kyu ?
Har awaaz ki paribhasha nai;
awaaz hi awaaz ko jaane kyu?
bandh hoto pe awaaz kaha rahti ;
Awaaz ki pahchaan karaye kaun ?
No comments:
Post a Comment